Posts

Showing posts from June, 2025

πŸ”₯ Part 4" Ek Andar Ka Dushman"

🧠 Recap: Vivhhan ne domain trace, IP log aur system headers ke zariye pata lagaya ki attack school ke andar se hi hua hai. IP address school ke Wi-Fi se linked tha, lekin hacker ka exact system pata lagana abhi baaki tha. πŸ”Ž Router Logs Aur Ek Clue Vivhhan ko system access mil gaya. Usne router ke logs check kiye, MAC addresses aur login sessions trace kiye. Ek particular system repeatedly login-logout kar raha tha. Vivhhan ne uss computer ko check kiya — wahi tha jisme se email bheji gayi thi. Par email log-out ho chuki thi. Physical proof ab bhi missing tha. Departure mein sirf 2 ghante bache the. Vivhhan ne socha: "CCTV footage check karte hain. Shayad kisi ka entry mil jaaye." πŸ•΅️‍♂️ CCTV... Aur Suspense Jab usne CCTV check kiya — shock laga! "Recording uss exact samay band ho gayi thi jab email bheji gayi thi." Blank screen, no footage. Pure plan ki professionalism ne Vivhhan ko hila diya. Sab teachers aur staff confusion mein the. Kisi ko s...

πŸ“˜Part 3"Ek IP, 100 Shak..."

Part 3 "Ek IP, Sau Shak..." Maths ka period chal raha tha. Tabhi peon ne class me aake kaha: Peon: “Sir, aapko staff room bulaya gaya hai. Emergency hai.” Sir substitution teacher the — wahi, jinka kabhi 10th me Vivhhan ne Instagram prank me hack kiya tha. Wo turant bhaag ke gaye. Kuch der baad wapas aaye, aankhon me shak tha. Unhone seedha Vivhhan ko dekha: Sir:  “Tumne kiya hai na sab kuch? Teachers ka data, login… sab hack?” Vivhhan ne bas itna kaha: Vivhhan: “Sir… maine kisi ka account login nahi kiya. Data tha, par maine use nahi kiya. Na kisi ko diya. Na maine woh email bheji.” Sir kuch pal chup rahe… fir uski aankhon me doubt ke saath thoda bharosa bhi tha. --- 🧠 Sir Ka Bharosa… Aur Andar Ki Uljhan > "Yeh wahi ladka hai jiske paas mera password tha... fir bhi usne kuch nahi kiya. Toh ab kyun karega?" Sir ne soch kar kaha: Sir: “Ek chance chahiye? Toh chalo mere saath…” --- 🧍‍♂️ Class Ka Reaction Sir ne sabke saamne kaha: Sir:  “Vivhhan, mere saath aao.” ...

πŸ” Part 2: Jab Hacker Bhi Hairaan Reh Gaya

⏳ 3 Din Baad – Shaant School, Andar Se Hungama Computer lab wali incident ke 3 din baad sab kuch normal lag raha tha. Vivhhan apni life me wapas busy ho chuka tha — practicals chal rahe the, class me thoda padayi bhi ho rahi thi. Lekin jis din Maths ka period tha, Maths sir absent the. Substitution me aaye... wahi sir jinka Instagram account Vivhhan ne 10th me hack kiya tha. --------------- πŸ“© Ek Email Aur Ek Blast Substitution sir class padhane hi wale the... tabhi ek peon class me aaya. Usne bola: “Sir, turant staff room chale aaiye... sab teachers ke username-password leak ho gaye hain!” Sir ek pal ke liye ruk gaye... fir turant bhaag kar niche staff room gaye. Vivhhan ka dimaag turant alert ho gaya. Usne socha: Vivhhan:“Password leak? Lekin maine to kisi ko diya nahi...” ----------------- 🧨 Staff Room Me Hungama Staff room me sab teachers ek dusre se pooch rahe the: > “Mera account ka password match ho raha hai is mail me!” “Mera bhi! Yeh kisne bheja?” Email me likha tha: Dear...

🧠 Part 1: Vivhhan – Computer Lab ka Chhupa Genius

-----Intro      πŸ’» Vivhhan – Ek Student, Lekin   School me log use ek average student hi samajhte the na zyada baat karta Lekin raat ko... wo ek digital dunia ka player ban jaata. Coding, scripting, aur hacking uska passion tha. Aur abhi usne ek nayi cheez pakdi thi — XSS (Cross-Site Scripting). ------ Before reading  For knowledge πŸ” XSS – Ek Chhoti Script, Bada Attack  "XSS ek aisi technique hai jisme hacker kisi website ke input form ke through code inject karta hai. Agar website bina check kiye us data ko show kar de, to hacker user ka data, password, ya session chura sakta hai." School Practical & Hacker Ka Dimaag 12th class ke practical exams chal rahe the. Sab students apne-apne practicals me busy the. Computer practical ke din teacher ne Vivhhan se kaha: Sir: “Beta, jaake computer lab check kar lo — saare systems theek se kaam kar rahe hain ya nahi.” Uske saath ek aur ladka gaya — Sam, jo ek seedha, serious aur obedient student tha. ------...

🧠 Vivhhan ka Insta Trick – Mazak Ya Cybercrime?

----- Intro: Vivhhan ek 10th class ka ladka tha. Zyada logo se baat nahi karta, sirf Sameer, Ravi aur Jay uske close dost the. Hacking me interest tha — YouTube pe tricks dekhna, Kali Linux chalana, aur naye naye apps test karna uska shock tha._ ------ Mazak Se Shuruat: Ek din tuition me sir ne haste hue bola: > “Kya koi jugad hai Instagram followers badhane ka?” Ravi bola, “Sir, app hai... coins kamao, followers pao.” Tabhi Vivhhan ne muskurate hue kaha: Vivhhan: “Sir, main aapke 2 minute me 500 followers badha sakta hoon.” Sir hansi me aa gaye: “Chalo dikhayo genius!” Vivhhan ne ek fake Instagram follower site banayi — login page asli jaisa. Sir ko bola: Vivhhan: “Bas yahaan apna username aur password daaliye... aur 5 ghante me magic!” Sir ne details bhar di. Chocolate di, shabashi bhi. Unhe kya pata tha... wo apna account, apne haathon se kisi aur ko de rahe hain. --- Khel Shuru Hua: Char din tak followers nahi badhe. Sir har din poochte, aur Vivhhan bolta: > “Sir... lagta hai...