π₯ Part 4" Ek Andar Ka Dushman"
π§ Recap: Vivhhan ne domain trace, IP log aur system headers ke zariye pata lagaya ki attack school ke andar se hi hua hai. IP address school ke Wi-Fi se linked tha, lekin hacker ka exact system pata lagana abhi baaki tha.
π Router Logs Aur Ek Clue
Vivhhan ko system access mil gaya. Usne router ke logs check kiye, MAC addresses aur login sessions trace kiye. Ek particular system repeatedly login-logout kar raha tha.
Vivhhan ne uss computer ko check kiya — wahi tha jisme se email bheji gayi thi. Par email log-out ho chuki thi. Physical proof ab bhi missing tha.
Departure mein sirf 2 ghante bache the. Vivhhan ne socha:
"CCTV footage check karte hain. Shayad kisi ka entry mil jaaye."
π΅️♂️ CCTV... Aur Suspense
Jab usne CCTV check kiya — shock laga!
"Recording uss exact samay band ho gayi thi jab email bheji gayi thi."
Blank screen, no footage. Pure plan ki professionalism ne Vivhhan ko hila diya.
Sab teachers aur staff confusion mein the. Kisi ko samajh nahi aa raha tha ki Vivhhan kya dhoondh raha hai.
π£ Akele Mein Principal Ko Bulana
Vivhhan ne quietly Principal Sir ko kaha:
“Sir, please ek kaam kijiye… akele mein baat karni hai.”
Principal sir uske saath school ke bahar ek corner mein chale gaye.
Wahan Vivhhan ne unse bola:
“Sir, aap sirf ek kaam kijiye. Watchman se gusse mein baat kijiye, police ki dhamki dijiye… main confirm kar lunga.”
⚡ Watchman Bluff Scene
Principal ne jaisi hi Watchman se gusse mein poocha:
“Tujhe pata bhi hai kitna bada cybercrime hua hai? Ab main police bulaane wala hoon!”
Tab Watchman ghabra gaya, haath jod kar bola:
“Sir please! Mat kijiye... woh mera cousin bhai hai — peon!”
Vivhhan ke kaan khade ho gaye. Bluff kaam kar gaya tha.
π Principal Ko Andar Bhejna
Vivhhan ne turant Principal Sir se kaha:
“Sir, aap ab andar chaliye. Baki main handle karta hoon.”
π£ Vivhhan andar aaya
School ke andar sab log hairan the. Sab staff, IT teachers, students — sab confused.
Tabhi... Vivhhan andar aaya
Seedha jaakar bola:
“Sab log sun lijiye — jo kaam hua hai, uska asli zimmedar mil gaya hai.”
Sabki saansen tham gayi.
“Yeh kaam kisi outsider ka nahi... school ke ek hi bande ka tha.”
Vivhhan ne projector pe mail ka header open kiya, system log dikhaye… sab proofs rakhe.
Fir bola:
“Sabse pehle email spoof hui. Domain fake tha. IP school Wi-Fi se match ho rahi thi.”
“CCTV exactly ussi waqt band hua jab email bheji gayi thi.”
“Phir... jab peon sab classrooms me daud kar bol raha tha ‘email aayi hai’, maine tab time dekha tha — 12:12:20 PM”
“Aur jab maine email ka exact receive time dekha — 12:12:40 PM. Matlab… email se pehle hi peon sabko inform kar raha tha.”
“Yeh sirf main tha jise yeh timing ka 20 second ka fark dikha.”
π― Real Story Revealed
Vivhhan ne sab ke saamne bola:
“Maine peon ka biodata nikaala. Pata chala... woh 9 saal pehle isi school ka student tha. 12th mein cheating mein pakda gaya tha. Phir kahin naukri nahi mili. Wapas yahaan peon ban kar aaya.”
“Usne Principal Sir ke system me malware dala, CCTV spoof kiya, aur email spoof banakar sabka data leak kiya.”
Aur watchman ne bhi iski help Kari is school mein entry lene ke liye kyunki Watchmen iska cousin bhai hai.......
Sab log shock me the.
Tabhi principal sar Ne Watchmen ko aur peon ko police ke hawale Kar Diya.....
police ke cyber crime wale pure system se malware hata Diya...
#HackNaama #HackingStory #PhishingAlert #CyberOrigin
---
Comments
Post a Comment